Jism ke bhookhon ne paison mein tol diya
Tabhi toh mujhe badnaami mili
Hum toh sacche the apni mohabbat mein
Phir bhi kyun humein bewafai mili?
Haste chehre ka dard ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Tere chakkar mein khalnayak ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Tere chakkar mein khalnayak ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Hero se seedha villain ban gaya
Pyaar kiya tha toh laga mujhe
Jaise poora jahaan mil gaya
Sacche aashiq hi aksar rote hain
Yeh silsila purana hi chalta gaya
Par mujhe lagta tha tu alag hai
Pyaar bhi karegi, khayal bhi rakhegi
Sab kehte the ek din royega tu
Main kehta tha, woh kabhi na badlegi
Pyaar ke bazaar mein tu bik gayi
Beech samundar meri kashti doob gayi
Isharon pe nach rahi hai kisi aur ke
Kya maine kabhi tujhe majboor kiya tha?
Soch ke aansu aa jaate hain
Kya mila mujhe is khel mein
Tere saath coffee pe jaata tha
Aaj tere hi chakkar mein jail mein
Duniya ke saare gham mere hue
Phir bhi tum kabhi mere na hue
Rota raha maa ki god mein main
Jis raat tum kisi aur ki ho gayi
Ab kaun tera saathi ban gaya
Mera hissa kis ka ho gaya?
Tere chakkar mein khalnayak ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Tere chakkar mein khalnayak ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Hero se seedha villain ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Tere chakkar mein khalnayak ban gaya
Seedha sa ladka bigad gaya
Hero se seedha villain ban gaya






