Mat aazma re, phir se bula ree
Apna bana le, hoon beqaraar
Tujhko hi chaaha dil hai ye kartaa
Haan, betahaasha tujhse hi pyaar
Hasratein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Khwahishein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Chaahatein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Mannatein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Hum zaar-zaar rote hain, khud se khafa bhi hote hainn
Hum ye pehle kyun na samjhe? Tum faqat mere
Dil ka qaraar khote hain, kahan chain se bhi sote hainn
Humne dil mein kyun bichhaaye shak ye gehre
Hasratein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Khwahishein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Chaahatein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Mannatein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Tere hi khwaab dekhna, teri hi raah taaknaa
Tere hi vaaste hai meri har wafaa
Teri hi baat sochna, teri hi yaad odhna
Tere hi vaaste hai meri har duaa
Tera hi saath maangna, teri hi baanh thaamna
Mujhe jaana nahi kahin tere binaa
Tu mujhse phir na roothna, kabhi kahin na chhootna
Mera koi nahi yahan tere sivaa
Hasratein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Khwahishein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Chaahatein baar-baar, baar-baar yaar ki karo
Mannatein baar-baar, baar-baar yaar ki karo


