Hawayein – Arijit Singh & Pritam

Hawayein – Arijit Singh & Pritam Lyrics

🎵 Hindi 🌐 Hindi
📝 Song Lyrics

Tujhko… main rakh loon wahan
Jahan pe kahin
Hai mera yakeen

Main jo… tera na hua
Kisi ka nahi…
Kisi ka nahi..

Le jaayein jaane kahan
Hawaayein, hawaayein…
Le jaayein tujhe kahan
Hawaayein, hawaayein…

Begaani si yeh baawri
Hawaayein, hawaayein
Le jaaye mujhe kahan
Hawaayein, hawaayein

Le jaayein jaane kahan, na mujhko khabar
Na tujhko pata…

O…

Banati jo tu…
Woh yaadein na jaane sang mere kab tak chale
Inhi mein toh meri…
Subah bhi dhale
Shaamein dhale
Mausam dhale

Khayalon ka shehar…
Tu jaane tere hone se hi abaad hai
Hawaayein bhi jaise…
Wohi hai aati jaati jo tera naam le

Deti hain jo sadaayein
Hawaayein, hawaayein
Na jaane kya sunayein
Hawaayein, hawaayein
Le jaaye tujhe kahan
Hawaayein, hawaayein
Le jaaye mujhe kahan
Hawaayein, hawaayein

Le jaayein jaane kahan, na mujhko khabar
Na tujhko pata…

O…

Chehra… kyun milta tera
Yun khwabon se mere
Yeh kya raaz hai?
Kal bhi… meri na thi tu
Na hogi tu kal
Meri aaj hai

Teri hi meri, saari wafaayein wafaayein
Maangi hain tere liye duaayein duaayein
Le jaaye tujhe kahan… hawaayein, hawaayein
Le jaaye mujhe kahan… hawaayein, hawaayein

Le jaaye jaane kahan (hawaayein hawaayein)
Le jaaye tujhe kahan (hawaayein hawaayein)

Le jaaye jaane kahan (hawaayein hawaayein)
Le jaaye mujhe kahan (hawaayein hawaayein)

O…

Disclaimer: Thanks for visiting Lyrics TR! If you found any mistakes in the lyrics of "Hawayein – Arijit Singh & Pritam", please get in touch with us through our Contact Page. We'll correct the mistakes in these lyrics. All lyrics are property and copyright of their respective authors, artists and labels.