Jise zindagii dhoondh rahii hai
Kyaa ye woh makaam meraa hai
Yahaan chain se bass ruk jaaun
Kyun dil yeh mujhe kehtaa hai
Jazbaat naye se miley hain
Jaane kyaa asar yeh huaa hai
Ikk aas milii phir mujhko
Jo qubool kisii ne kiyaa hai
Haanโฆ
Kisii shaayar kii ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pall
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam kii sehar
Yaa sardii mein dopahar
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaare ko ghar
Hmmโฆ
Jaise koee kinaaraa
Detaa ho sahaaraa
Mujhe woh milaa kisii modd par
Koee raat kaa taaraa
Kartaa ho ujaalaa
Waise hii roshan kare woh shehar
Dard mere woh bhulaa hii gayaa
Kuch aisaa asar huaa
Jeenaa mujhe phir se woh sikhaa rahaa
Hmm.. Jaise baarish kar de tar
Yaa marham dard par
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam kii sehar
Yaa sardii mein dopahar
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaare ko ghar
Muskaataa yeh chehraa
Detaa hai jo pehraa
Jaane chhupaataa kyaa dil kaa samandar
Auron ko toh harr dum saayaa detaa hai
Woh dhoop mein hai khadaa khudd magar
Chott lagii hai usey,
Phir kyun mehsoos mujhe ho rahaa hai
Dil tu bataa de kyaa hai iraadaa teraa
Main parindaa besabar
Thaa udaa jo darbadar
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaarey ko ghar
Naye mausam kii sehar
Yaa sardii mein dopahar
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaarey ko ghar
Koee mujhko yuun milaa hai
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar..
Jaise banjaare ko gharโฆ
Jaise banjaare ko gharโฆ.
