Dil kahe kahaaniyan pehli dafa
Armaano mein rawaniyan pehli dafaa
Ho gaya begana main hosh se pehli dafa
Pyaar ko pehchana ehsaas hai yeh nayaa
Suna hai, suna hai..
Yeh rasm-e-wafa haii
Jo dil pe nasha hai
Woh pehli dafa haii
Kabhi dard si, kabhi zard sii
Zindagi benaam thii
Kahin chahatein hui meherbaan
Haath badh ke thaamtii
Ik woh nazar, ik woh nigaah
Rooh mein shaamil iss tarah
Ban gaya afsana ik baat se pehli dafaa
Paa liya hai thikanaa
Baahon ki hai panaah
Suna hai, suna hai..
Yeh rasm-e-wafa haii
Jo dil pe nasha hai
Woh pehli dafa haii
Lage bewajah alfaaz joo
Woh zaroorat ho gayee
Taqdeer ke kuch faisley
Jo ganimat ho gayee
Badla hua har pal haii
Rehti khumari har jagah
Pyaar tha anjaana
Hua saath mein pehli dafaa
Yeh asar ab jaana
Kya rang hai yeh chadhaa
Suna hai, suna haii
Yeh rasm-e-wafa hai
Jo dil pe nasha hai
Woh pehli dafa haii





